कैसे करे एक अच्छे smartphone 📱की पहचान

Hello dosto mai ek baar phir aa gya hu kuch aisi tips lekar jo aapko naye smartphone📱 lete samay sbse dhayan se  cheack☑ karna hai..
To chaliye hm baat karte hai android phones ki. kyoki aaj market android phones ki hi hai.
Haa doston ek aur baat ye ki mai yaha jo condition dikhane wala hu wo normal users 👥  👤 ke liye hai hard gaming aur muti-tasking ke baare me jaanne ke liye agala post ke liye intajar kre..


1) Dosto aap phone lene jaaye to pahle uska version check ☑ kar le kyo ki ye hamesaa update hote rahta hai  jaise ki abhi market me latest Android version 7.0 naugat chal raha hai lekin aap ek normal user 👤 hai aur yadi aapki बजट 8000 tak ki hai to kam se kam android 5.0 lolipop version wala  phone le yadi dukandaar aapko version 5.0 se kam kitkat version 4.4 de to kabhi mat lena wo bewkuff bnaa rhaa hai. ab mai batata hu ki aap kam version wale phone kyo nhi le kyoki yadi apaka android system upgrade ho rha hai to uuske hisaab se  application bhi upgrade hote rahta hai aapne bhi dekha hogi ki aap update maangte rahte hai aur jb bhi app update hote hai unka mb badh jata hai jaise ki pahle jo app 5 mb ka tha wo update ke baad 8mb ka ho jata hai hai. to Bhaiya jab app kaa version badhega to aapka phone ka bhi version update honaa chahiye isliye kosis kre ki kam se kam android lolipop version wale hi phone le.

2) RAM ye apke phone me mukhya bhumika nibhata hai aapka ram jittna jayada hoga aapka phone utna achaa chlega issliye aap 8000 ke budget me 2gb ram kam se kam le kyo ki yadi aajke date me sare app update ho rhe hai aur sare app ke mb jayada hote jaa rha hai isliye 2 gb ya 2g b se jayada ram wale phone hi le.

3) prossesor  ye aapke phone kaa brain hai aur aap nhi chaahenge ki aap ke phone ka brain kamjor ho isliye 8000 ke budget me kam se kam 1.3ghz octa core prosessor dhundhe.
prosessor, ram, kya hai iske bare me pura detail apko agala post me bata dunga

4) aapka phone 4g hona chahiye kyo ki bhaiya ab india me jio hai jo log 3g ka sakal bhi nhi dekhe hai wo log 4g me hotspot baat rhe hai

5) aapke phone me bettry 2500 mah honi chahiye jo din bhar kich le

6) camera back 8 mp kamse kam aur front 5mp achhe selfi ke liye

7) display size 4.7 inch hona chahiye video dekhne layak

to dosto ek achhe phone me kam se kam itna sab kuch hona chaahiye tbhi aapka phone jhakaas chalegaa

aur ye sab sari chize 8000 ke under me mil jaayengi aap google par search kar sakte hai (best phones under 8000) aur aapko ek achha phone confrm mil jayega.

aur haa dosto koi ek chiz ko dekh kar bahkawe me mat aana sara kuch average hona chaahiye

to doston mai aasa karta hu ki aapko ye article pasand aya hog
yadi achaa laga to comment kare ydi kuch puchna ya janna hai to comment kare good bye

Post a Comment

Previous Post Next Post

Contact Form